Tuesday, August 14, 2007

Hum kabhi shaayari nahi karte..........!

~~

Hum kabhi shaayari nahi karte
Ye to dil hai,
Hum kabhi kuch nahi kehte

Kabhi humse bhi mil ke dekho tum
Wahi rehte ho
Hum jaha nahi rehte

Kar ke qatl poochte ho hua kya hai
Mud ke dekho
Marne waale ko mana nahi karte

Mera haal mere jism se bayaa nahi hoga
Chot gehri hai
Jo rooh tak jaaye wo jism par dikhaa nahi karte

Kabhi pata chale to bataana tum
Pyaar kya hai
Aisi baate chupaakar rakhaa nahi karte

Pyaar ki apni ek zubaa hoti hai
Badi mushkil hai
Waaiz isse samjha nahi karte

Kehte hai zindagi ke kai rang hote hai
Pyaar karte hai jo
Kisi rang me fark nahi karte

Kai janam liye milne ko jinse humne
Wohi kehte hai
Mohabbat me hum wafa nahi karte

Aaj tumne khudko bura keh dia
Wo to tum the
Warna ye baat hum saha nahi karte

Aise bhatke ke ab saahil nahi milta
Dil ko samjhaao
Jasbaat me yu baha nahi karte

Hakikat nahi khwaab me hi sahi
Mulaakat hogi
Yu aankho me raat se seher nahi karte

Har kisi ke hisse me sab nahi aata
Tum jo mil jaao
Phir hum koi aarzu nahi karte

Haalat behtar banaane se bante hai
Meri maano
Khushnaseeb mohabbat nahi karte

Zikra mera jo kabhi aaye baato me
Chup rehna
Guzre hue maazi se zafaa nahi karte

Muskuraate hai baate karte hai
JaanNe waalo se
Yu chup raha nahi karte

Ab nayi shart ke jaana hoga
Kya kare
Yaar ki koi baat mana nahi karte

Ladte rahe fursat-o-hasrat ki jang,puri zindagi
Meri maano,
Kabhi fursat ko hasarat se bada nahi karte

Kabhi kabhi dusro kaa dil bhi rakhte hai
Jhooth bhi kehte hai
Har waqt yu sach kaha nahi karte

~~~~

1 comment:

Anonymous said...

Boht hi sidhe saaf lafzon me kahi gai...ek boht hi khoobsoorat baat hai ye!!
"...haalat behtar banane se bante hain..."
i found these lines most beautiful.