Tuesday, August 14, 2007

Jude hue jism......

Mujhme tujhme bhi ik rishta hai
Ankahi,ansuni,poshida,saanso kaa
Jism ke pairahan silti hui saanse
Dhadkano se hoti hui
Baahar nikal jaati hai
Mere badan ke baahar
Tumhaare badan me samaa jaati hai
Inhi betarteeb taano baano me
Kadha gaya hai jahaan saara

Kal raat ki hi baat hai
Khuda ke paas baitha tha mai
Neeche jo dekha to laga
Bhura khubsurat kaaleen bicha ho
Har jism sila hua tha saanso se
Khwaab saa manzar tha wo.....

Rukhsat liya khuda se
Kareeb aaya jyu zamee ke
Suraakh se dikhne lage..
Saanse ukhadne lagi
Jism ghulne lage
Bhura kaaleen
Kaala kafa ban gaya
Maut kaa asar tha shaayad
Aur fir kamaal dekho..!
Ik suraakh me mai samaa gaya
Kaaleen hawaa ho gai...
Neend bhi kuch khul gai
Duniya bohot badal gai
Mai bhi kuch badal gaya
Tum bhi kuch badal gaye
Ankahi,ansunin,poshida saanso ki
Daasta magar yunhi chalti rahi....
Khwaab se hakeekat me badalti rahi....


~

Aadha naam......

Kabhi kabhi mujhse poocha jaata hai
Ke takalluf se milta hu mai logo se..!
'Ji' bhi lagaata hu har naam ke aage
Kehte hai 'janaab',itne achhe nahi 'aadaab'!

Mai keval muskura deta hu
Kya kahu unse...
Ke baat kuch aur hai...
Kuch mai hu,kuch aisa hi daur hai...

Aadhe naam se bulaau to
Galat maan lete hai log
Bhadak bhi jaate hai log
Kareeb bhi aa jaate hai log...

Aadha naam mera bhi ek hai
Gar tum thoda naam de sako apna
Jod lunga mai apne naam ke saath
To hi mera naam mukammal hoga...

Gar pukaaru mai tumhe kabhi
Kisi ajeeb chhote se naam se
Samajh jaana baat kuch aur hai
Mai kuch aur hu,kuch aur wo daur hai....

~

~

कभी कभी मुझसे पूछा जाता है
के तकललुफ़ से मिलता हू मै लोगो से..!
'जी' भी लगाता हू हर नाम के आगे
केहते है 'जनाब',इतने अच्छे नही 'आदाब'!

मै केवल मुस्कुरा देता हू
क्या कहूँ उनसे...
के बात कुछ और है ...
कुछ मै हू,कुछ ऐसा ही दौर है ...

आधे नाम से बुलाऊ तो
ग़लत मान लेते है लोग
भड़क भी जाते है लोग
क़रीब भी आ जाते है लोग...

आधा नाम मेरा भी एक है
गर तुम थोड़ा नाम दे सको अपना
जोड़ लूंगा मै अपने नाम के साथ
तो ही मेरा नाम मुकम्मल होगा...

गर पुकारू मै तुम्हे कभी
किसी अजीब छोटे से नाम से
समझ जाना बात कुछ और है
मै कुछ और हू,कुछ और वो दौर है ....

~

Baarisho me...

~

Baarisho me aasmaano se
Duriya simat si jaati hai
Baarisho me kitaabo se
Zindagi nikal aati hai..!
Har khalaa bheeg jaati hai
Duniya hare rang me doob jaati hai!

Baarisho ke dhaago se
Zamee-o-AasmaaN sil jaate hai
Tumse hum mil jaate hai
Zindagi ke maayne badal jaate hai
Kabhi dekha naa ho humne jise
Aise rango me ghul jaate hai!
Baarisho ke dor par jhulte hue
Hum aasma ke aage nikal aate hai...

Paani se kuch rishta hai humaara
Koi bina bheege reh nahi paata...
Chhule isse to jal jaate hai
Doob jaaye to nikal aate hai.......

~

Ek Jung....A Fight.......

~

Jang si chhidi hui hai jism aur saanso ke darmyaaN...

Mere hi nawaase aaj bagaawat par utar aaye hai ..!
Lad rahe hai dono ek dard ke tukde ko lekar...
Jism ne daboch rakhha hai dard ko kaskar
To saans har pal kheench raha hai isko...

Saans dost hai mera, mere bhale ki baat karta hai
Jab nikalta hai to chupke se hontho ko chum leta hai!
Aaj tak kabhi alag nahi hua mujhse ....
Koi bataaye ke aise mohbbat ko koi thukraaye bhi,to kaise?

Jism bhi peeche nahi apne izhaar-e-mohabbat me..!
"Yaad hai tumko jab dekhte rehte the aaina ghanto
Aur wo khushnumaa shaame jo guzaari thi sang mere
Kaise bhool sakte ho nazaare,aawaaze,meri pursoz kashish?"

Waise to achhe hai dono hi, magar jab ladte hai...
Lagta hi nahi dono mere hisse hai , mai jaanta hu inhe..
Jism jaanta hai ki dard se hi uski haisiyat hai
Saans hai ke use jism ki ye fitrat pasand nahi...!

Ya Khuda ! de kuch aur dard mujhko,baant du inme
Kambakht ye jhagda to khatam ho ,mujhe chain mile
Warna mita de iss jism ko ki pareshaan karta hai....
Ya to thandi kar de saanso ki ye garm bhabhkiya....

Wo ik taraf kone me zindagi khadi dekh rahi hai tamaasha
Intezaar me hai ki khatm ho khel aur wo aage badhe...
Yun to matlab nahi mujhe tamaashbeeno se lekin
Uski muskuraahat,dard ko badhaati hai ,chain dilaati hai .....


~

Happy New Year...!

~~

Ek Naya Din.....
Phir din nikal aaya hai
Sar pe ek tokri suraj uthaaye
Sabko deta hai
Thoda thoda
Ek tukda suraj kaa
Naa bhi maangoge to milega
Din kaa dil badaa hota hai
Samhaal ke rakhna
Apne hisse ka suraj
Ye hissa bass tumhaara nahi hai....

Ek khel hai 'Jig Saw' kaa
Saare tukde usske hisse hai....

Raat ke canvas par
Sajaana hai
Saare tukdo ko
Ek bhi gum jo gaya
Suraj pura nahi hoga....

Raat ke canvas par
Phir roshani nahi hogi.....

~~

A Chat....

~~


was having a conversation with a frnd......i said few lines during a discussion...liked them so posting.....topic of discussion is not that clear....hope u get a feel..
i m just copy pasting my chat message...




haa ye sab baate hi to hai,
kehte hi rehte hai
shama,roshni,andhera...
sab baate hai....
karte rehte hai
karte hai kyuki
zinda hai....
murdo ko bolte kisne dekha hai...
yaa shaayad
bharam hai
zinda hone kaa
murde hi bass bolte hai
zinda insaan chup rehte hai
shamaa ki tarah
bass andhera chillata hai
jab roshni nahi hoti...

~~

Kaise....

~~

This is something i wrote long long back [02 dec '02]....u may see some immaturity with the handling of words as i havent altered a words written then.....
i dont know in which category of poetry this can be put into....magar phir ek baar padhe.....



Jiske sapne dekhe the humne
Jiski baate kiya karte
Jiski khosshboo meri saanse me thi
Log jiske naam se humen jaana karte the
Jiske naam ke pehle akshar se jeevan kaa aagaz
Aur antim akshar ant kaa sabab thaa mere
Wo,jiski haa se hakikat aur naa se
Saari duniya bemaani lagti thi hume
Wo,jo thi hum me hi kahi ,yaa shaayad
Hum hi ussme shaamil the
Jiski haatho ki lakeero me gum hoke reh gayi thi zindagi apni
Saara kaaynaat jiske aanchal me simat aaya tha
Wo, jisko chaha tha humne
Jisse mohabbat thi humko
Wo,jiski har baat zehan me tasweer ki
tarah saaf hai ab tak,jo shaayd ussne
Kabhi kahi hi nahi....
....
Tere-mere beech kaa har wo kissa yaad hai mujhko
Jo shaayad kabhi hua hi nahi ....
Tum hi kaho,kaise bhoolu ye sab kuch
Kaise mita du in khayaalo ko,jo kabhi hakikat the hi nahi.....
tum hi kaho kaise bhoolu mai TUMKO...
Kyuki TUM the....TUM ho.....ye yakee hai mujhko...........


~~

Aasma ke pare..........

~

This song was inherent with the tune which my bro played on his guitar. I just gave words to it. I hope u all like it.



Aasmaa ke pare hai chupaa wo jahaa
Rooho ki baato si aa rahi hai sadaa
Wo hai roshni,wo hai zindagi....
Wo hai bandagi,Hai wo kuch nahi.......

Naa dekha koi kuch to dikhta nahi hai
Naa samjha koi kuch to kehta nahi hai
Taaro ki lekar zubaa likh gaya raaz wo

Hai likha har jagaa,par likha kuch nahi
Baat to saaf hai,baat hai kuch nahi



Thaa nahi jab kahi, kuch ye tha samaa
Khwaab ki baat ho ,zindagi kaa bayaa
Khwaab jodkar,hakikat koi,dikha rahaaaaa

Tuta jo khwaab to,bujh gayi raat to
Phir milega iss baat ka nishaa kahi kuch nahi
~


Sun ke dekho:

AasmaaKePare.mp3


~~

A visit...

12/1/06
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

recently i visited Mazaar-e-Ghalib.....felt bit helpless wen cudnt read wats written on the mazaar!.......ther around 8-9 verses came to my mind then n ther.,...ghar aate

aate 3 yaad rahe.......thats the last thing i wrote...


Mitaane de usse ab bachaane ki rehmat naa kar
Mere mazaar par yu aane ki tu zehmat naa kar

Ahal-e-hayaat ki had tak mukarrar ho mera wajood
Jo khwaahish-e-marg mai karu aaj,naseehat naa kar

Fanaa ho jaayega har lams-o-nishaa rafta rafta
Khwaab me bulaakar bewajah kayaamat naa kar..

~~~


ahal is ppl.....hayaat is life.....marg is death .....meaning is like this
mai kuch aisa karu ki iss zindagi se realated jitne bhi log hai unme mai hamesha ke liye maujood rahoo.....magar agar mera kabhi khud marne kaa jee kare to plz koi

naseehat naa kare..!.....in short let me live my way.........very Ghalib!

lams is touch...
like if a lover is left like dessereted he may perish with time......magar agar khwaabo me wo beloved se mulaaqaat karne lage to wo bhi usske liye kayaamat se kam

nahi hoga......so again...let me die my way....don create whole draama for no reason....[and if ne...let the reason be love!]
~

Mai hu ke nahi...

Mai Hu Ke Nahi...
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Mujhme jo
Mujhsa jo
Hai naa jo
Wo kya hai

Khudko mai
Haasil hu
Raaz saa phir
Ye kya hai

Mai hu ke nahi....wo hai ke nahi
Wo hai jo kahi....Aur kya hai.....[2]
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aise hi to
Kuch bhi to
Dikhta nahi
Roshni phir, ye kya hai

Saamne se
Aata hai
Jaata hai
Mujhse fark, aks kya hai

Milta jo
Mujhse wo
Judaa mujhse
Khuda kya hai?

Mai khuda to nahi....par juda to nahi
Gar juda mai nahi....judaaa kya hai

Mai hu ke nahi.......
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kharcha jo
Thoda to
Ladaa mujhse
Din mera hai

Din ko bhi
Raat me bhi
Chain mujhko
Ab kahaaN hai

Raat bhi kuch
Guzri yu
Syaah usme
Ab zaraa hai

Saath kuch tha nahi...haath kuch hai nahi
Baat ye to nahi......baat kya hai

Mai hu ke nahi.......

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Sun ke Dekho....!

Get this widget | Share | Track details

First 50 Dates....!

~~

Was watching the movie 'First 50 dates' on HBO....it struck me....i don believe in 'situational poetry' but it was instantaneous......
to make it clearer...lemme brief the story....
theres a girl who gets her brain damaged in an accident ,and as a result she has this problem of loosing her memory everyday.......she meets a guy and they fall in love.......wat next?...next day she forgets him!.......the guy, aware of the accident,makes her fall in love all over again next day........n again.....n again......even after there marriage...everyday!............
isnt it love!

hers my tribute to this feeling...

इक कहानी से बढ़कर खुदा कुछ नही
मोहब्बत से जहाँ मे जुदा कुछ नही

तुम मुझे भूल जाओ जो हर रात भी
तुम रहो तो दिन मे गुमशुदा कुछ नही

तुम मेरे साथ जीना जो चाहो अगर
हर शय को कहेंगे 'बाखुदा कुछ नही'!

वो हर रोज़ मिलना, वो हर दिन की बात
मुझे देख नज़रे चुराना, अलहदा कुछ नही

गर तुझे देखकर ही तेरा एहसास होता
तो तू भी ना होता और खुदा कुछ नही

घर सेहरा मे बनाना या जू- ए- शीर बहाना
मोहब्बत मे लगता नक़्श बेहुदा कुछ नही?

~~~~~~

ik kahaani se badhkar khuda kuch nahi
mohabbat se jahaan me juda kuch nahi

tum mujhe bhool jaao jo har raat bhi
tum raho to din me gumshuda kuch nahi

tum mere saath jeena jo chaaho agar
har shay ko kahenge 'baakhuda kuch nahi'!

wo har roz milna, wo har din ki baat
mujhe dekh nazre churaana, alhada kuch nahi

gar tujhe dekhkar hi tera ehsaas hota
to tu bhi naa hota aur khuda kuch nahi

ghar sehra me banaana yaa joo- e- sheer bahaana
Mohabbat me lagta lagta naqsh behuda kuch nahi

~~~~~

i dont know how much sense it makes!

~~

Muddat hui ke khud ko naa khud se bekhud jaana....

~~~

Muddat hui ke khud ko naa khud se bekhud se bekhud jaana
Hua yu ke khuda khud aaya ,hum ne aznaam-e-khayaali jaana

Chaudahvi ko to hoga unka jaana
Ijaaz-e-vasl me baithe hai aasta jaana..

Dawaam-e-ghaib-e-raaz kaise jaana
Raha hoga unki khalaawat me aana jaana

Maan baithe hai jinko apni jaan-e-jaana
Mukkarar hai ik baat par ke " jaa naa"

Naakhuda kuch to bataa kis ore hai jaana
Mai khuda to nahi,par ye jagah hai mera jaana

Zamaane ne jisko Naqsh-e-nazaakat jaana
Hua naa mumkin phir kabhi uska likha jaana...


~~~
Key:


~~

Muddat hui ke khud ko naa khud se bekhud jaana
Hua yu ke khuda khud aaya ,hum ne aznaam-e-khayaali jaana

aznaam-e-khayaali = imagination of thoughts

There is a person who is very much indiffrent to this world....never cares bout anything.....even he does not cares for himself.....thinks that even his existense is not

enough for his real being.....wat to talk of other material things....

Muddat hui ke khud ko naa khud se bekhud jaana

it so happened once that God Himself came to meet him,and wat happened?....he as usual wat out of himself......he thought that its just another product of imagination

in thots.....he cud not make full use of the oppourtunity!...

Hua yu ke khuda khud aaya ,hum ne aznaam-e-khayaali jaana

This vere can be taken as both for and against the nature of such people....it justifies them both ways equally!

~

Dawaam-e-ghaib-e-raaz kaise jaana
Raha hoga unki khalaawat me aana jaana

dawaam=duniya
ghaib=hidden,chupe hue
khalaawat=privacy


can b taken in two contexts,
1st,lover is pointing toward the beloved [not in her/his presence tho!] that how did the whole world came to know bout heir relationship?.....must be that there r many

lovers like him who constantly visit her/him in privacy.......its actually bit complex in the sense that it becomes cyclic in nature coz only beloved know whome she/he

loves in 'real'....all others r only timepass!....


2nd one,Regarding the hidden knowledge of this world.....how do we come to know bout the all the hidden treasure of knowledge which is beyond common

perception?....
for that we must b a part of the privacy of its creator....
but than a strange problem surfaces.....
if I talk about somebdy's extreme privacy....then even i m not allowed in it.......then how to get it...
not unless we r ourself that privacy....in other words we r part of the creator....or I am the GOD....

~~

Naakhuda kuch to bataa kis ore hai jaana
Mai khuda to nahi,par ye jagah hai mera jaana

Naakhuda = sailor


Consider life as a ship,then our senses are its sailor which rows the life forward by taking appropriate deciosions at critical times in our lives.......there r ppl who

keep making the same mistakes again n again without learning anything from their past experiences.....this verse is comment on such ppl...
this is conversation between say me[i donno who is 'me' tho!]..and my senses...
i ask my senses ,plz consult me if u r in any confusion,i have been to same situation before....may b i can be of any help!

~~

Phir kya hoga..........getting profound.......

~~~

Abhi jo hai abr-e-paikar to phir kya hoga
Falak se jo naa dikhe zami,to phir kya hoga

Dawaam-e-haal jo behtar nahi to wo jaane
Kahi usko bhi yahi malaal to kya hoga..

Kis ravish se hai ye sil-e-aafiyaat sab jaane
Roz-e-zaza jo hoga,to phir kya hoga

Daaim sahi bulandi pe tera makaam aye Naqsh
Apni gurbat me hua gumnaam kya hoga....


-Naqsh

~
~~~


"Abhi jo hai abr-e-paikar to phir kya hoga
Falak se jo naa dikhe zami,to phir kya hoga"

Many times when we look up at the sky,we see formation of strange but familiar faces by floating clouds. But these faces dont stay for long,vanish after some

time,takes new appearance..........this is shows the 'imparmanance' of the sky..........sky where God is supposed to live........now we human wen look at the sky it seems so

imparmanent......this is the meaning of first line

Abhi jo hai abr-e-paikar to phir kya hoga

second line,takes the opposite case.......wen God wud b looking down on earth.....does it changes its face in a similar way?......does it poses the high degree of

imparmanence that sky has?......if yes then it wud be a very difficult task for God to manage such a thing!.....
goin one step ahead.....wat if the earth becomes invisible to Him ....may b due to some dark clouds or somethin........
wat will happen to us the?.......wud we exist then?.....

Falak se jo naa dikhe zami,to phir kya hoga

~~

Hum kabhi shaayari nahi karte..........!

~~

Hum kabhi shaayari nahi karte
Ye to dil hai,
Hum kabhi kuch nahi kehte

Kabhi humse bhi mil ke dekho tum
Wahi rehte ho
Hum jaha nahi rehte

Kar ke qatl poochte ho hua kya hai
Mud ke dekho
Marne waale ko mana nahi karte

Mera haal mere jism se bayaa nahi hoga
Chot gehri hai
Jo rooh tak jaaye wo jism par dikhaa nahi karte

Kabhi pata chale to bataana tum
Pyaar kya hai
Aisi baate chupaakar rakhaa nahi karte

Pyaar ki apni ek zubaa hoti hai
Badi mushkil hai
Waaiz isse samjha nahi karte

Kehte hai zindagi ke kai rang hote hai
Pyaar karte hai jo
Kisi rang me fark nahi karte

Kai janam liye milne ko jinse humne
Wohi kehte hai
Mohabbat me hum wafa nahi karte

Aaj tumne khudko bura keh dia
Wo to tum the
Warna ye baat hum saha nahi karte

Aise bhatke ke ab saahil nahi milta
Dil ko samjhaao
Jasbaat me yu baha nahi karte

Hakikat nahi khwaab me hi sahi
Mulaakat hogi
Yu aankho me raat se seher nahi karte

Har kisi ke hisse me sab nahi aata
Tum jo mil jaao
Phir hum koi aarzu nahi karte

Haalat behtar banaane se bante hai
Meri maano
Khushnaseeb mohabbat nahi karte

Zikra mera jo kabhi aaye baato me
Chup rehna
Guzre hue maazi se zafaa nahi karte

Muskuraate hai baate karte hai
JaanNe waalo se
Yu chup raha nahi karte

Ab nayi shart ke jaana hoga
Kya kare
Yaar ki koi baat mana nahi karte

Ladte rahe fursat-o-hasrat ki jang,puri zindagi
Meri maano,
Kabhi fursat ko hasarat se bada nahi karte

Kabhi kabhi dusro kaa dil bhi rakhte hai
Jhooth bhi kehte hai
Har waqt yu sach kaha nahi karte

~~~~

...

This is dedicated to a very sweet frnd of mind..who died in a road accident last yr....she ws just 18.....



~~

Kehne sunne ko padi jaanam,zindagi tamaam hai
Masroof hu aaj,kambakht,maut bhi ik kaam hai

Ladta hai to khul ke lad,khula ye maidaan hai
Ye kya ke cheekhe sab aur band teri zubaan hai?

Kya maut se hi chalte hai duniya ke kaayde?
Kyo maut ko hua haasil zindagi kaa payaam hai

Fark mujhko nahi hai koi mere wajood se
Mitaaya jis din mujhko,wohi tera anjaam hai

Kya dohre usool tere,kya tera zameer hai
Marta nahi hai tu,kyu sirf marte insaan hai?

Hua kare kayaamat koi din,mujhko nahi fikar
Hua Naqsh waha agar,to ye uskaa imaan hai


~~

Zara zara zara........Thoda rumaani ho jaaye...!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Kaho naa kaho Keh raha hai
Wo aankho se khwaab Beh raha hai
Zara Zara Zara

Jo saanso ke saath reh raha hai
Wo palko se baat keh raha hai
Zara Zara Zara

Dekho naa kabhi Keh do naa tum mujhe
Jalta hai abhi ,Jaane phir kab bujhe,wo lamhaa...

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Aao naa kabhi Chhuu lo naa tum kabhi
Jaanu nahi,tumhaare bina
kabse ye shaam dhal rahi hai
Zara Zara Zara

Thaam lo kabhi Haath se tum mujhe
Rok lo mujhe jaane mat do mujhe
In lamho me mai mit raha hu
Zara Zara Zara

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Baandha tha hume Jo thaa humme kahi
Naazuk si thi kya wo tujh si kahi
Unn waado ki dor kat rahi hai
Zara Zara Zara

Raat hai kahi,din hai to nahi
Jo din aaye to raat aaye nahi
Wo door kahi mil rahe hai
Zara Zara Zara

~~

Aankho me tha jo....

Aankho mein tha jo.......
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Aankho me tha jo
Labo pe aaya to
Suna tha logo ne
Samjha nahi

Likhe the safhe par
Nami thi kuch shaayad
Chuaa tha ussne par
Padha to nahi

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Suna tha tumne jab
Hasaa tha tumne tab
Hasaana tha mujhko
Rulaana nahi

Mile the jab pehle
Khwaabo me the chale
Hakikat tha wo par
Fasaana nahi

Jo mere paas aana
Dil ik aur laana
Jo toota,tum banaana
Bahaana nahi

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Pareshaa raat din kyu
Karte hai mujhko ye
Tere bin saanso ko
Kaha naa 'nahi'

Saat sur tum mere
Chuaa jo hontho ko
Banega phir koi
Taraana nahi

Jannat me bhi mai
Akela tha jaanam
Tere bin duniya me
Thikaana nahi.......

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Sun ke Dekho...!

Get this widget | Share | Track details

Ab kya kahe hum.....

~~

Wo kehte hai ke tum 'kya khoob kehte ho'
Chup hi rehte hai ke ab kya kahe hum

Uss dariya me tum kya doob-behte ho
Dar ke rehte hai,ke ab kyaa bahe hum

Khayaal jale mere, tum kyu duud sehte ho
Wasl-e-marg se fursat,ke ab kya sahe hum!

Asser-e-yaar me khush tum,khud kehte ho
Tawiil-e-hayat itni hai,ke ab kya kahe hum

Banke aab-e-chashm tum maujood rehte ho
Tu rehta hai bankar 'Naqsh',ke ab kya rahe hum...

Key:

Duud = smoke,dhuaa
Wasl=meeting
Marg = death
Aseer = captive,prisoner
Tawiil = lengthy
Hayaat = life
Aab-e-chashm = tears

~
Few explanations:

~
Khayaal jale mere, tum kyu duud sehte ho

Wasl-e-marg se fursat,ke ab kya sahe hum!

thers a lover who is constantly taking pains to meet/persuade his/her beloved.......aur to aur maut se bhi mil kar aa gaya ....but cudnt got attention of

beloved!..............now the frustated lover says to console himself/herself[still thinkin that beloved may love some day].........tum mere jale khayaalo ke dhue me pareshaan

naa ho,mai khud hi seh lunga.......waise bhi maut se milne ke baad se kuch karne yaa sehne ko hai nahi mere paas!........


Asser-e-yaar me khush tum,khud kehte ho

Tawiil-e-hayat itni hai,ke ab kya kahe hum

its a simple one.........thers an 'experienced' person who is giving some suggestion to the lover........'tum apne yaar ke ishq me kaid hona pasand karte ho......magar ye

zindagi bohot lambi hai..............ho sakta hai kal ko uska dil badal jaaye......tum kaid me hi raho aur wo chorr ke chala jaaye!.......'.....

~~

Apni Hasti Se.....

~~~~

Teri mehek ab meri saanso me dafan hai
Jism tere nash-e-khayaal me kafan hai
[nash=coffin]

Waada kiya milne kaa khwaab me usne
Yahi baat har waqt mere dil-o-zahan hai

Ajeeb baat ke mujhpar fark padta nahi humdum
Warna shab-o-roz do jahan ka mujhpar wazan hai

Hasi to aati hai mujhe har baat par lekin
Paagal nahi ke bas fataa mera pairahan hai
[pairahan = cloths]

Bachaa le khudko ke kehta hu tujhe ae 'Naqsh'
Tujhe mitaane kaa log kar rahe jashan hai !

~~

Khush hu mai....!

~~~~~

Naa fikr,naa ashq,naa itaab,naa gila koi
Aaj apne jism ke baahar kitna khush hu mai

Tujhse ishq kaa shauq iss kadar hai humdum
Har aah teri judai me kahe,kina khush hu mai

Sadiya guzar gayi intzaar-e-wasl me
Sitara saath aasmaan me aur khush hu mai

Jo kabhi nahi mila mujhko uski bhi aankhe nam hai
Kaise bataau apni maut par kyu itna khush hu mai

~~~~

Ik kadam aur chalkar dekho....

I remember ek baar college me class attend karne ke baad i was taking the shortcut to my room in hostel....road me kuch construction work chal raha tha so i took a different longer path which goes thru the roads where families of proffs live....i saw few proff wives with ther small kids in baby-cars....one very small kid looked at me from the baby-car n smiled so sweetly ....i was happy all day with her smile in mind.....all this coz i had taken a different route to my room!....this inspired the following poem i wrote that day...

~

Ik kadam aur chalkar dekho
Apni raah zara badalkar dekho

Thandi hawaaye jo nahi bhaati
Aandhiyo me samhalkar dekho

Apni hi raftaar se behti hai ye
Zindagi ko usme utarkar dekho

Chaaho agar sabhi kuch hai mumkin
Kabhi gham ko khushi me badalkar dekho

Jo bhi karna hai abhi karlo
Apne hotho se 'kash' alag kar dekho

Aatisho me bhi sheeren ki jhalak paaoge
Kabhi aaftaab ko haath lagaakar dekho

Dooriya nazro kaa dhoka bhi ho sakti hai
Chaand ki taraf haath badhaakar to dekho

Jab lage ki ye kitaab khatm hui
Pichle panne palatkar dekho

Zindagi me maksad ki kami jo lage
Udaas chehro ko hasaakar dekho...:)

15 Mar '03

~

The First Ones....

This is one of the first peoms written by me 5 yrs back....
childish it may seem....but thots are my own..
~
Kuch kam hai....

Pal pal khoj me hai,leta hi nahi ye dum hai
Zindagi jaisi sochi thi nahi,kuch kam hai

Jaane mausam kaa rukh kaisa hai iss baar humdum
Sukhi hui hai bastiya,par meri aankhe nam hai

Saari koshishe naakam hui hai apni
Kaisi shiddat,bharta nahi zakham hai

Mujhme ho tum,kuch nahi duniya tum bin hai
Tu hi hai har kahi,ab kahi nahi hum hai

12 dec '02
~