Tuesday, August 14, 2007

Ek Jung....A Fight.......

~

Jang si chhidi hui hai jism aur saanso ke darmyaaN...

Mere hi nawaase aaj bagaawat par utar aaye hai ..!
Lad rahe hai dono ek dard ke tukde ko lekar...
Jism ne daboch rakhha hai dard ko kaskar
To saans har pal kheench raha hai isko...

Saans dost hai mera, mere bhale ki baat karta hai
Jab nikalta hai to chupke se hontho ko chum leta hai!
Aaj tak kabhi alag nahi hua mujhse ....
Koi bataaye ke aise mohbbat ko koi thukraaye bhi,to kaise?

Jism bhi peeche nahi apne izhaar-e-mohabbat me..!
"Yaad hai tumko jab dekhte rehte the aaina ghanto
Aur wo khushnumaa shaame jo guzaari thi sang mere
Kaise bhool sakte ho nazaare,aawaaze,meri pursoz kashish?"

Waise to achhe hai dono hi, magar jab ladte hai...
Lagta hi nahi dono mere hisse hai , mai jaanta hu inhe..
Jism jaanta hai ki dard se hi uski haisiyat hai
Saans hai ke use jism ki ye fitrat pasand nahi...!

Ya Khuda ! de kuch aur dard mujhko,baant du inme
Kambakht ye jhagda to khatam ho ,mujhe chain mile
Warna mita de iss jism ko ki pareshaan karta hai....
Ya to thandi kar de saanso ki ye garm bhabhkiya....

Wo ik taraf kone me zindagi khadi dekh rahi hai tamaasha
Intezaar me hai ki khatm ho khel aur wo aage badhe...
Yun to matlab nahi mujhe tamaashbeeno se lekin
Uski muskuraahat,dard ko badhaati hai ,chain dilaati hai .....


~

No comments: